wallah in shahidon ka mear dekh kar
vallāh in shahīdoñ kā me.aar dekh kar
hai marg-e-shauq aur sivā daar dekh kar
un par bhī khul sakā na ufuq kā tilismī raaz
hairān-kun karishma-e-fankār dekh kar
shorīdgī-e-ābla-pā.ī ke bāvajūd
jazbe na kam hue rah-e-pur-ḳhār dekh kar
is mājrā-e-lutf pe pahroñ sukūt-e-shab
hairāñ thā ḳhud ko apnā hī ġham-ḳhvār dekh kar
dāman chhuḌā na paa.e dam-e-sair apnā ham
kāñToñ kī anjuman kā bhī isrār dekh kar
patthar tarāshne kā hunar jāntā thā maiñ
par chup thā but-parast ḳharīdār dekh kar
'hassān' sīkho aur zarā shā.irī kā fan
'ġhālib' 'jigar' 'firāq' ke ash.ār dekh kar
wallah in shahidon ka mear dekh kar
hai marg-e-shauq aur siwa dar dekh kar
un par bhi khul saka na ufuq ka tilismi raaz
hairan-kun karishma-e-fankar dekh kar
shoridgi-e-abla-pai ke bawajud
jazbe na kam hue rah-e-pur-KHar dekh kar
is majra-e-lutf pe pahron sukut-e-shab
hairan tha KHud ko apna hi gham-KHwar dekh kar
daman chhuDa na pae dam-e-sair apna hum
kanTon ki anjuman ka bhi israr dekh kar
patthar tarashne ka hunar jaanta tha main
par chup tha but-parast KHaridar dekh kar
'hassan' sikho aur zara shairi ka fan
'ghaalib' 'jigar' 'firaq' ke ashaar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.