wahi jo rishta hai kashti ka sath-e-ab ke sath
vahī jo rishta hai kashtī kā sat.h-e-āb ke saath
vahī hai merā ta.alluq bhī apne ḳhvāb ke saath
yahīñ kahīñ to chamaktī thī ik tilismī jhiil
yahīñ kahīñ to maiñ Duubā thā apne ḳhvāb ke saath
chhalak rahī thī kisī intizār kī chhāgal
bhaTak rahī thī kahīñ pyaas iztirāb ke saath
ulajh rahī thī musalsal savāl kī luknat
mukālima na koī ho sakā javāb ke saath
har ek harf sitāra har ek lafz charāġh
maiñ nuur nuur huā raat kī kitāb ke saath
ye kis ke lams kī bārish meñ rang rang huuñ maiñ
ye kaun mujh se guzartā hai āb-o-tāb ke saath
sañbhal ke chalnā ye ta.abīr kī saḌak hai miyāñ
bañdhī huī ka.ī āñkheñ haiñ ek ḳhvāb ke saath
maiñ ret hone hī vaalā thā jab ‘azīz-nabīl'
umīd-e-āb dhaḌakne lagī sarāb ke saath
wahi jo rishta hai kashti ka sath-e-ab ke sath
wahi hai mera talluq bhi apne KHwab ke sath
yahin kahin to chamakti thi ek tilismi jhil
yahin kahin to main Duba tha apne KHwab ke sath
chhalak rahi thi kisi intizar ki chhagal
bhaTak rahi thi kahin pyas iztirab ke sath
ulajh rahi thi musalsal sawal ki luknat
mukalima na koi ho saka jawab ke sath
har ek harf sitara har ek lafz charagh
main nur nur hua raat ki kitab ke sath
ye kis ke lams ki barish mein rang rang hun main
ye kaun mujh se guzarta hai aab-o-tab ke sath
sanbhal ke chalna ye tabir ki saDak hai miyan
bandhi hui kai aankhen hain ek KHwab ke sath
main ret hone hi wala tha jab ‘aziz-nabil'
umid-e-ab dhaDakne lagi sarab ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.