wahi gul hai gulistan mein wahi hai sham mahfil mein
wahi gul hai gulistan mein wahi hai sham mahfil mein
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
MORE BYSyed Yusuf Ali Khan Nazim
vahī gul hai gulistāñ meñ vahī hai sham' mahfil meñ
vahī yūsuf hai zindāñ meñ vahī lailā hai mahmil meñ
hazāroñ ban ga.ī haiñ kushtagān-e-ḳhāl kī qabreñ
jagah til bhar nahīñ baaqī zamīn-e-kū-e-qātil meñ
nahīñ raushan diloñ kī qadr kuchh arbāb-e-zāhir ko
ijāzat baiThne kī sham' ko dī kis ne mahfil meñ
ye 'ālam nuur kā hai jalva-e-dāġh-e-mohabbat se
nahīñ kuchh farq mere dil meñ aur ḳhurshīd-e-manzil meñ
siyāhī-e-ḳhūn-e-saudā kī ye vaqt-e-qatl kaam aa.ī
lagāyā surma chashm-e-jauhar-e-shamshīr-e-qātil meñ
ye kis zohra-jabīñ kī anjuman meñ aamad aamad hai
bichhāyā hai qamar ne chāñdnī kā farsh mahfil meñ
nazar aatā nahīñ mānind-e-abrū ek māh-e-nau
mahīnoñ rahtī haiñ vo hasrateñ madd-e-muqābil meñ
na ho munkir na ho munkir ḳhudā vo hai ḳhudā vo hai
rujūa qalb ho jaate hai jis kī samt mushkil meñ
nahīñ jauhar liye haiñ bas-ki shauq-e-qatl meñ bose
hamāre naqsh-e-dandāñ haiñ lab-e-shamshīr-e-qātil meñ
vo āvāra huuñ maiñ hai ḳhatm mujh par tez-raftārī
ki haiñ miqrāz donoñ paañv mere qat-e-manzil meñ
tumhāre gesu-e-pechāñ kī jab tārīf likhtā huuñ
qalam pāband ho jaatā hai misroñ kī salāsil meñ
falak par jaa.e 'iisā hai gayā zer-e-zamīñ qārūñ
zamīn-o-āsmāñ kā farq paayā haqq-o-bātil meñ
bashar tanhā nahīñ dīvāne us shamshād-qāmat ke
shajar jakḌe hue haiñ ishq-e-pechī kī salāsil meñ
miTā harf-e-mohabbat aap ke aariz pe ḳhat niklā
hamārā naam ab likhiye to likhiye fard-e-bātil meñ
umīd-e-ma.adilat us shaah se hai mujh ko ai 'nāzim'
huī jis kī vilādat bhī zamān-e-shāh-e-ādil meñ
wahi gul hai gulistan mein wahi hai sham' mahfil mein
wahi yusuf hai zindan mein wahi laila hai mahmil mein
hazaron ban gai hain kushtagan-e-KHal ki qabren
jagah til bhar nahin baqi zamin-e-ku-e-qatil mein
nahin raushan dilon ki qadr kuchh arbab-e-zahir ko
ijazat baiThne ki sham' ko di kis ne mahfil mein
ye 'alam nur ka hai jalwa-e-dagh-e-mohabbat se
nahin kuchh farq mere dil mein aur KHurshid-e-manzil mein
siyahi-e-KHun-e-sauda ki ye waqt-e-qatl kaam aai
lagaya surma chashm-e-jauhar-e-shamshir-e-qatil mein
ye kis zohra-jabin ki anjuman mein aamad aamad hai
bichhaya hai qamar ne chandni ka farsh mahfil mein
nazar aata nahin manind-e-abru ek mah-e-nau
mahinon rahti hain wo hasraten madd-e-muqabil mein
na ho munkir na ho munkir KHuda wo hai KHuda wo hai
rujua qalb ho jate hai jis ki samt mushkil mein
nahin jauhar liye hain bas-ki shauq-e-qatl mein bose
hamare naqsh-e-dandan hain lab-e-shamshir-e-qatil mein
wo aawara hun main hai KHatm mujh par tez-raftari
ki hain miqraaz donon panw mere qat-e-manzil mein
tumhaare gesu-e-pechan ki jab tarif likhta hun
qalam paband ho jata hai misron ki salasil mein
falak par jae 'isa hai gaya zer-e-zamin qarun
zamin-o-asman ka farq paya haqq-o-baatil mein
bashar tanha nahin diwane us shamshad-qamat ke
shajar jakDe hue hain ishq-e-pechi ki salasil mein
miTa harf-e-mohabbat aap ke aariz pe KHat nikla
hamara nam ab likhiye to likhiye fard-e-baatil mein
umid-e-madilat us shah se hai mujh ko ai 'nazim'
hui jis ki wiladat bhi zaman-e-shah-e-adil mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.