wade jhuTe qasmen jhuTi
va.ade jhūTe qasmeñ jhūTī
duniyā kī sab bāteñ jhūTī
khīñchī haiñ jo sachche dil se
vo be-nām lakīreñ jhūTī
us kī āñkheñ bol rahī haiñ
sab ḳhush-rañg shabīheñ jhūTī
amn ke saare sapne jhūTe
sapnoñ kī ta.abīreñ jhūTī
ham ne jin ko sachchā jaanā
niklīñ vo sab bāteñ jhūTī
aaj hameñ ma.alūm huā hai
guzre kal kī yādeñ jhūTī
dekho kaan na dharnā un par
dil kī sab āvāzeñ jhūTī
bas ik pyaar kā bandhan sachchā
aur 'baqā' sab rasmeñ jhūTī
wade jhuTe qasmen jhuTi
duniya ki sab baaten jhuTi
khinchi hain jo sachche dil se
wo be-nam lakiren jhuTi
us ki aankhen bol rahi hain
sab KHush-rang shabihen jhuTi
amn ke sare sapne jhuTe
sapnon ki tabiren jhuTi
hum ne jin ko sachcha jaana
niklin wo sab baaten jhuTi
aaj hamein malum hua hai
guzre kal ki yaaden jhuTi
dekho kan na dharna un par
dil ki sab aawazen jhuTi
bas ek pyar ka bandhan sachcha
aur 'baqa' sab rasmen jhuTi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.