TukDe nahin hain aansuon mein dil ke chaar panch
TukDe nahin hain aansuon mein dil ke chaar panch
Bahadur Shah Zafar
MORE BYBahadur Shah Zafar
TukḌe nahīñ haiñ āñsuoñ meñ dil ke chaar pāñch
surḳhāb baiThe paanī meñ haiñ mil ke chaar pāñch
muñh khole haiñ ye zaḳhm jo bismil ke chaar pāñch
phir leñge bose ḳhanjar-e-qātil ke chaar pāñch
kahne haiñ matlab un se hameñ dil ke chaar pāñch
kyā kahiye ek muñh haiñ vahāñ mil ke chaar pāñch
dariyā meñ gir paḌā jo mirā ashk ek garm
but-ḳhāne lab pe ho ga.e sāhil ke chaar pāñch
do-chār lāshe ab bhī paḌe tere dar pe haiñ
aur aage dab chuke haiñ tale gil ke chaar pāñch
rāheñ haiñ do majāz o haqīqat hai jin kā naam
raste nahīñ haiñ ishq kī manzil ke chaar pāñch
ranj o ta'ab musībat o ġham yaas o dard o daaġh
aah o fuġhāñ rafīq haiñ ye dil ke chaar pāñch
do tiin jhaTke duuñ juuñ hī vahshat ke zor meñ
zindāñ meñ TukḌe hoveñ salāsil ke chaar pāñch
farhād o qais o vāmiq o azrā the chaar dost
ab ham bhī aa mile to hue mil ke chaar pāñch
naaz o adā o ġhamza nigah panja-e-mizha
māreñ haiñ ek dil ko ye pil pil ke chaar pāñch
iimā hai ye ki deveñge nau din ke baa'd dil
likh bheje ḳhat meñ sher jo be-dil ke chaar pāñch
hiire ke nau-ratan nahīñ tere hue haiñ jam'
ye chāñdnī ke phuul magar khil ke chaar pāñch
mīnā-e-nuh-falak hai kahāñ bāda-e-nashāt
shīshe haiñ ye to zahr-e-halāhal ke chaar pāñch
nāḳhun kareñ haiñ zaḳhmoñ ko do do milā ke ek
the aaTh das so ho ga.e ab chhil ke chaar pāñch
gar anjum-e-falak se bhī tādād kījiye
nikleñ ziyāda daaġh mire dil ke chaar pāñch
māreñ jo sar pe sil ko uThā kar qalaq se ham
das pāñch TukḌe sar ke hoñ aur sil ke chaar pāñch
maan ai 'zafar' tū panj-tan o chār-yār ko
haiñ sadr-e-dīn kī yahī mahfil ke chaar pāñch
TukDe nahin hain aansuon mein dil ke chaar panch
surKHab baiThe pani mein hain mil ke chaar panch
munh khole hain ye zaKHm jo bismil ke chaar panch
phir lenge bose KHanjar-e-qatil ke chaar panch
kahne hain matlab un se hamein dil ke chaar panch
kya kahiye ek munh hain wahan mil ke chaar panch
dariya mein gir paDa jo mera ashk ek garm
but-KHane lab pe ho gae sahil ke chaar panch
do-chaar lashe ab bhi paDe tere dar pe hain
aur aage dab chuke hain tale gil ke chaar panch
rahen hain do majaz o haqiqat hai jin ka nam
raste nahin hain ishq ki manzil ke chaar panch
ranj o ta'ab musibat o gham yas o dard o dagh
aah o fughan rafiq hain ye dil ke chaar panch
do tin jhaTke dun jun hi wahshat ke zor mein
zindan mein TukDe howen salasil ke chaar panch
farhad o qais o wamiq o azra the chaar dost
ab hum bhi aa mile to hue mil ke chaar panch
naz o ada o ghamza nigah panja-e-mizha
maren hain ek dil ko ye pil pil ke chaar panch
ima hai ye ki dewenge nau din ke ba'd dil
likh bheje KHat mein sher jo be-dil ke chaar panch
hire ke nau-ratan nahin tere hue hain jam'
ye chandni ke phul magar khil ke chaar panch
mina-e-nuh-falak hai kahan baada-e-nashat
shishe hain ye to zahr-e-halahal ke chaar panch
naKHun karen hain zaKHmon ko do do mila ke ek
the aaTh das so ho gae ab chhil ke chaar panch
gar anjum-e-falak se bhi tadad kijiye
niklen ziyaada dagh mere dil ke chaar panch
maren jo sar pe sil ko uTha kar qalaq se hum
das panch TukDe sar ke hon aur sil ke chaar panch
man ai 'zafar' tu panj-tan o chaar-yar ko
hain sadr-e-din ki yahi mahfil ke chaar panch
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.