Tuk honT hilaun to ye kahta hai na bak be
Tuk hoñT hilā.ūñ to ye kahtā hai na bak be
aur paas jo baiThūñ to sunātā hai sarak be
kahtā huuñ kabhī ghar meñ mire aa to hai kahtā
chaukhaT pe hamārī koī din sar to paTak be
jab badr nikaltā hai to kahtā hai vo maġhrūr
kah do use yaañ aan ke itnā na chamak be
parda jo ulaT dūñgā abhī muñh se to dam meñ
uḌ jā.egī chehre kī tire sab ye jhamak be
sab bāñkpan ab terā 'nazīr' ishq ne khoyā
kyā ho ga.ī sach kah vo terī duut dubak be
Tuk honT hilaun to ye kahta hai na bak be
aur pas jo baiThun to sunata hai sarak be
kahta hun kabhi ghar mein mere aa to hai kahta
chaukhaT pe hamari koi din sar to paTak be
jab badr nikalta hai to kahta hai wo maghrur
kah do use yan aan ke itna na chamak be
parda jo ulaT dunga abhi munh se to dam mein
uD jaegi chehre ki tere sab ye jhamak be
sab bankpan ab tera 'nazir' ishq ne khoya
kya ho gai sach kah wo teri dut dubak be
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.