raat ke pichhle pahar rone ke aadi roe
raat ke pichhle pahar rone ke aadī ro.e
aap aa.e bhī magar rone ke aadī ro.e
un ke aa jaane se kuchh tham se ga.e the aañsū
un ke jaate hī magar rone ke aadī ro.e
haa.e pābandī-e-ādāb tirī mahfil kī
ki sar-e-rāhguzar rone ke aadī ro.e
ek taqrīb-e-tabassum thī bahārāñ lekin
phir bhī āñkheñ huiiñ tar rone ke aadī ro.e
dard-mandoñ ko kahīñ bhī to qarār aa na sakā
koī sahrā ho ki ghar rone ke aadī ro.e
ai 'farāz' aise meñ barsāt kaTegī kyūñkar
gar yūñhī shām-o-sahar rone ke aadī ro.e
raat ke pichhle pahar rone ke aadi roe
aap aae bhi magar rone ke aadi roe
un ke aa jaane se kuchh tham se gae the aansu
un ke jate hi magar rone ke aadi roe
hae pabandi-e-adab teri mahfil ki
ki sar-e-rahguzar rone ke aadi roe
ek taqrib-e-tabassum thi bahaaran lekin
phir bhi aankhen huin tar rone ke aadi roe
dard-mandon ko kahin bhi to qarar aa na saka
koi sahra ho ki ghar rone ke aadi roe
ai 'faraaz' aise mein barsat kaTegi kyunkar
gar yunhi sham-o-sahar rone ke aadi roe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.