Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

munh kahan ye ki kahun jaiye aur so rahiye

Meer Hasan

munh kahan ye ki kahun jaiye aur so rahiye

Meer Hasan

MORE BYMeer Hasan

    muñh kahāñ ye ki kahūñ jā.iye aur so rahiye

    ḳhuub gar niiñd hai to aa.iye aur so rahiye

    takiya zaanū mire kījiye be-ḳhauf-o-ḳhatar

    aap tashrīf idhar lā.iye aur so rahiye

    aaj chāñdnī vo hai ki kisī shoḳh ke saath

    khol āġhosh lipaT jā.iye aur so rahiye

    yuuñ to hargiz nahīñ aane tumheñ niiñd magar

    mujh se qissa mirā kahvā.iye aur so rahiye

    ġham rahā thā mirī bātoñ tumheñ kis kis din

    muñh mirā aap na khulvā.iye aur so rahiye

    gar raheñ ham bhī kahīñ pā.eñtī ab jaa.eñ kahāñ

    aap itnā hameñ farmā.iye aur so rahiye

    baḳht jaage haiñ shab-e-māh meñ jo yaar hai paas

    chāñdnī taḳht pe bichhvāi.ye aur so rahiye

    us adā huuñ maiñ dīvāna ki añgḌā.ī le

    mujh se kahtā hai kahīñ jā.iye aur so rahiye

    Dar ḳhudā hai nahīñ aur sanam ko le kar

    ek par tujhe dikhlā.iye aur so rahiye

    tapish-e-ishq garmī se jale jaate haiñ

    chhāñv ThanDī kahīñ Tuk pā.iye aur so rahiye

    ye bilā fikr se kuchh ned huī hai 'hasan'

    meñ aatā hai ki kuchh khā.iye aur so rahiye

    munh kahan ye ki kahun jaiye aur so rahiye

    KHub gar nind hai to aaiye aur so rahiye

    takiya zanu ka mere kijiye be-KHauf-o-KHatar

    aap tashrif idhar laiye aur so rahiye

    aaj ki chandni wo hai ki kisi shoKH ke sath

    khol aaghosh lipaT jaiye aur so rahiye

    yun to hargiz nahin aane ki tumhein nind magar

    mujh se qissa mera kahwaiye aur so rahiye

    gham raha tha meri baaton ka tumhein kis kis din

    munh mera aap na khulwaiye aur so rahiye

    gar rahen hum bhi kahin paenti ab jaen kahan

    aap itna hamein farmaiye aur so rahiye

    baKHt jage hain shab-e-mah mein jo yar hai pas

    chandni taKHt pe bichhwaiye aur so rahiye

    us ada ka hun main diwana ki angDai le

    mujh se kahta hai kahin jaiye aur so rahiye

    Dar KHuda ka hai nahin aur sanam ko le kar

    ek ja par tujhe dikhlaiye aur so rahiye

    tapish-e-ishq ki garmi se jale jate hain

    chhanw ThanDi kahin Tuk paiye aur so rahiye

    ye bila fikr se kuchh ned hui hai 'hasan'

    ji mein aata hai ki kuchh khaiye aur so rahiye

    Source :
    • Deewan-e-Meer Hasan

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now