jafaen dur tak jati hain kam aabaad shahron mein
jafā.eñ duur tak jaatī haiñ kam ābād shahroñ meñ
vafā.eñ duur tak jaatī haiñ kam ābād shahroñ meñ
bahāreñ der tak rahtī haiñ kam ābād qariyoñ meñ
ḳhizā.eñ duur tak jaatī haiñ kam ābād shahroñ meñ
sadā hañsne kī ho afsos kī yā aah bharne kī
sadā.eñ duur tak jaatī haiñ kam ābād shahroñ meñ
añdherā jab ghanā ho to charāġh-e-rāh-e-vīrāñ kī
shuā.eñ duur tak jaatī haiñ kam ābād shahroñ meñ
'munīr' ābād shahroñ ke makīnoñ kī havā le kar
havā.eñ duur tak jaatī haiñ kam ābād shahroñ meñ
jafaen dur tak jati hain kam aabaad shahron mein
wafaen dur tak jati hain kam aabaad shahron mein
bahaaren der tak rahti hain kam aabaad qariyon mein
KHizaen dur tak jati hain kam aabaad shahron mein
sada hansne ki ho afsos ki ya aah bharne ki
sadaen dur tak jati hain kam aabaad shahron mein
andhera jab ghana ho to charagh-e-rah-e-viran ki
shuaen dur tak jati hain kam aabaad shahron mein
'munir' aabaad shahron ke makinon ki hawa le kar
hawaen dur tak jati hain kam aabaad shahron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.