ek sitam aur lakh adaen uf ri jawani hae zamane
ek sitam aur laakh adā.eñ uf rī javānī haa.e zamāne
tirchhī nigāheñ tañg qabā.eñ uf rī javānī haa.e zamāne
hijr meñ apnā aur hai aalam abr-e-bahārāñ dīda-e-pur-nam
zid ki hameñ vo aap bulā.eñ uf rī javānī haa.e zamāne
apnī adā se aap jhijaknā apnī havā se aap khaTaknā
chaal meñ laġhzish muñh pe hayā.eñ uf rī javānī haa.e zamāne
haath meñ aaḌī teġh pakaḌnā taaki lage bhī zaḳhm to ochhā
qasd ki phir jī bhar ke satā.eñ uf rī javānī haa.e zamāne
kaalī ghaTā.eñ baaġh meñ jhūle dhānī dupaTTe laT jhaTkā.e
mujh pe ye qadġhan aap na aa.eñ uf rī javānī haa.e zamāne
pichhle pahar uTh uTh ke namāzeñ naak ragaḌnī sajdoñ pe sajde
jo nahīñ jaa.ez us kī duā.eñ uf rī javānī haa.e zamāne
'shād' na vo dīdār-parastī aur na vo be-nashsha kī mastī
tujh ko kahāñ se DhūñDh ke laa.eñ uf rī javānī haa.e zamāne
ek sitam aur lakh adaen uf ri jawani hae zamane
tirchhi nigahen tang qabaen uf ri jawani hae zamane
hijr mein apna aur hai aalam abr-e-bahaaran dida-e-pur-nam
zid ki hamein wo aap bulaen uf ri jawani hae zamane
apni ada se aap jhijakna apni hawa se aap khaTakna
chaal mein laghzish munh pe hayaen uf ri jawani hae zamane
hath mein aaDi tegh pakaDna taki lage bhi zaKHm to ochha
qasd ki phir ji bhar ke sataen uf ri jawani hae zamane
kali ghaTaen bagh mein jhule dhani dupaTTe laT jhaTkae
mujh pe ye qadghan aap na aaen uf ri jawani hae zamane
pichhle pahar uTh uTh ke namazen nak ragaDni sajdon pe sajde
jo nahin jaez us ki duaen uf ri jawani hae zamane
'shad' na wo didar-parasti aur na wo be-nashsha ki masti
tujh ko kahan se DhunDh ke laen uf ri jawani hae zamane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.