din guzar jaenge sarkar koi baat nahin
din guzar jā.eñge sarkār koī baat nahīñ
zaḳhm bhar jā.eñge sarkār koī baat nahīñ
aap kā shahr agar baar samajhtā hai hameñ
kuuch kar jā.eñge sarkār koī baat nahīñ
aap ke jaur kā jab zikr chhiḌā mahshar meñ
ham mukar jā.eñge sarkār koī baat nahīñ
ro ke jiine meñ bhalā kaun sī shīrīnī hai
hans ke mar jā.eñge sarkār koī baat nahīñ
nikal aa.e haiñ 'adam' se to jhijhaknā kaisā
dar-ba-dar jā.eñge sarkār koī baat nahīñ
din guzar jaenge sarkar koi baat nahin
zaKHm bhar jaenge sarkar koi baat nahin
aap ka shahr agar bar samajhta hai hamein
kuch kar jaenge sarkar koi baat nahin
aap ke jaur ka jab zikr chhiDa mahshar mein
hum mukar jaenge sarkar koi baat nahin
ro ke jine mein bhala kaun si shirini hai
hans ke mar jaenge sarkar koi baat nahin
nikal aae hain 'adam' se to jhijhakna kaisa
dar-ba-dar jaenge sarkar koi baat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.