bhule se mohabbat kar baiTha, nadan tha bechaara, dil hi to hai
bhule se mohabbat kar baiTha, nadan tha bechaara, dil hi to hai
Sahir Ludhianvi
MORE BYSahir Ludhianvi
bhūle se mohabbat kar baiThā, nādāñ thā bechārā, dil hī to hai
har dil se ḳhatā ho jaatī hai, bigḌo na ḳhudārā, dil hī to hai
is tarah nigāheñ mat phero, aisā na ho dhaḌkan ruk jaa.e
siine meñ koī patthar to nahīñ ehsās kā mārā, dil hī to hai
jazbāt bhī hindū hote haiñ chāhat bhī musalmāñ hotī hai
duniyā kā ishāra thā lekin samjhā na ishārā, dil hī to hai
bedād-garoñ kī Thokar se sab ḳhvāb suhāne chuur hue
ab dil kā sahārā ġham hī to hai ab ġham kā sahārā dil hī to hai
bhule se mohabbat kar baiTha, nadan tha bechaara, dil hi to hai
har dil se KHata ho jati hai, bigDo na KHudara, dil hi to hai
is tarah nigahen mat phero, aisa na ho dhaDkan ruk jae
sine mein koi patthar to nahin ehsas ka mara, dil hi to hai
jazbaat bhi hindu hote hain chahat bhi musalman hoti hai
duniya ka ishaara tha lekin samjha na ishaara, dil hi to hai
bedad-garon ki Thokar se sab KHwab suhane chur hue
ab dil ka sahaara gham hi to hai ab gham ka sahaara dil hi to hai
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 313)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.