apni KHabar, na us ka pata hai, ye ishq hai
apnī ḳhabar, na us kā pata hai, ye ishq hai
jo thaa, nahīñ hai, aur na thaa, hai,, ye ishq hai
pahle jo thaa, vo sirf tumhārī talāsh thī
lekin jo tum se mil ke huā hai, ye ishq hai
tashkīk hai, na jañg hai mābain-e-aql-o-dil
bas ye yaqīn hai ki ḳhudā hai, ye ishq hai
behad ḳhushī hai, aur hai be-intihā sukūn
ab dard hai, na ġham, na gila hai, ye ishq hai
kyā ramz jānñī hai tujhe asl-e-ishq kii?
jo tujh meñ us badan ke sivā hai, ye ishq hai
shohrat se terī ḳhush jo bahut hai, ye hai ḳhirad
aur ye jo tujh meñ tujh se ḳhafā hai, ye ishq hai
zer-e-qabā jo husn hai, vo husn hai ḳhudā
band-e-qabā jo khol rahā hai, ye ishq hai
idrāk kī kamī hai samajhnā ise maraz
is kī duaa, na is kī davā hai, ye ishq hai
shaffāf o saaf, aur latāfat meñ be-misāl
saarā vajūd ā.īna sā hai, ye ishq hai
ya.anī ki kuchh bhī is ke sivā sūjhtā nahīñ?
haañ to janāb, mas.ala kyā hai? ye ishq hai
jo aql se badan ko milī thii, vo thī havas
jo ruuh ko junūñ se milā hai, ye ishq hai
is meñ nahīñ hai daḳhl koī ḳhauf o hirs kā
is kī jazā, na is kī sazā hai, ye ishq hai
sajde meñ hai jo mahv-e-duā vo hai be-dilī
ye jo dhamāl Daal rahā hai, ye ishq hai
hotā agar kuchh aur to hotā anā-parast
us kī razā shikast-e-anā hai, ye ishq hai
'irfān' mānñe meñ ta.ammul tujhe hī thā
maiñ ne to ye hamesha kahā hai, ye ishq hai
apni KHabar, na us ka pata hai, ye ishq hai
jo tha, nahin hai, aur na tha, hai,, ye ishq hai
pahle jo tha, wo sirf tumhaari talash thi
lekin jo tum se mil ke hua hai, ye ishq hai
tashkik hai, na jang hai mabain-e-aql-o-dil
bas ye yaqin hai ki KHuda hai, ye ishq hai
behad KHushi hai, aur hai be-intiha sukun
ab dard hai, na gham, na gila hai, ye ishq hai
kya ramz jaanni hai tujhe asl-e-ishq ki?
jo tujh mein us badan ke siwa hai, ye ishq hai
shohrat se teri KHush jo bahut hai, ye hai KHirad
aur ye jo tujh mein tujh se KHafa hai, ye ishq hai
zer-e-qaba jo husn hai, wo husn hai KHuda
band-e-qaba jo khol raha hai, ye ishq hai
idrak ki kami hai samajhna ise maraz
is ki dua, na is ki dawa hai, ye ishq hai
shaffaf o saf, aur latafat mein be-misal
sara wajud aaina sa hai, ye ishq hai
yani ki kuchh bhi is ke siwa sujhta nahin?
han to janab, masala kya hai? ye ishq hai
jo aql se badan ko mili thi, wo thi hawas
jo ruh ko junun se mila hai, ye ishq hai
is mein nahin hai daKHl koi KHauf o hirs ka
is ki jaza, na is ki saza hai, ye ishq hai
sajde mein hai jo mahw-e-dua wo hai be-dili
ye jo dhamal Dal raha hai, ye ishq hai
hota agar kuchh aur to hota ana-parast
us ki raza shikast-e-ana hai, ye ishq hai
'irfan' manne mein tammul tujhe hi tha
main ne to ye hamesha kaha hai, ye ishq hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.