uThi kuchh aise badan ki KHushbu
uThī kuchh aise badan kī ḳhushbū
simaT ga.ī pairahan kī ḳhushbū
sahar huī to ajab adā se
kalī meñ utrī kiran kī ḳhushbū
havāoñ se dostī na karnā
luTā na denā chaman kī ḳhushbū
maze uḌāoge hijratoñ ke
liye phiroge vatan kī ḳhushbū
añdherī rātoñ meñ dekh lenā
dikhā.ī degī badan kī ḳhushbū
ye kaun 'alvī' chalā gayā hai
sameT kar anjuman kī ḳhushbū
uThi kuchh aise badan ki KHushbu
simaT gai pairahan ki KHushbu
sahar hui to ajab ada se
kali mein utri kiran ki KHushbu
hawaon se dosti na karna
luTa na dena chaman ki KHushbu
maze uDaoge hijraton ke
liye phiroge watan ki KHushbu
andheri raaton mein dekh lena
dikhai degi badan ki KHushbu
ye kaun 'alwi' chala gaya hai
sameT kar anjuman ki KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.