us sitamgar ki mehrbani se
us sitamgar kī mehrbānī se
dil ulajhtā hai zindagānī se
ḳhaak se kitnī sūrateñ ubhrīñ
dhul ga.e naqsh kitne paanī se
ham se pūchho to zulm behtar hai
in hasīnoñ kī mehrbānī se
aur bhī kyā qayāmat aa.egī
pūchhnā hai tirī javānī se
dil sulagtā hai ashk bahte haiñ
aag bujhtī nahīñ hai paanī se
hasrat-e-umr-e-jāvedāñ le kar
jā rahe haiñ sarā-e-fānī se
haa.e kyā daur-e-zindagī guzrā
vāqiye ho ga.e kahānī se
kitnī ḳhush-fahmiyoñ ke but toḌe
tū ne gulzār ḳhush-bayānī se
us sitamgar ki mehrbani se
dil ulajhta hai zindagani se
KHak se kitni suraten ubhrin
dhul gae naqsh kitne pani se
hum se puchho to zulm behtar hai
in hasinon ki mehrbani se
aur bhi kya qayamat aaegi
puchhna hai teri jawani se
dil sulagta hai ashk bahte hain
aag bujhti nahin hai pani se
hasrat-e-umr-e-jawedan le kar
ja rahe hain sara-e-fani se
hae kya daur-e-zindagi guzra
waqiye ho gae kahani se
kitni KHush-fahmiyon ke but toDe
tu ne gulzar KHush-bayani se
- Book : Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 302)
- Author : Professor Unwan Chishti
- Publication : Asila Offset Printers, Kalan Mahal, Dariyaganj, New Delhi-6 (1989)
- Edition : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.