us shoKH ne nigah na ki hum bhi chup rahe
us shoḳh ne nigāh na kī ham bhī chup rahe
ham ne bhī aah aah na kī ham bhī chup rahe
aayā na un ko ahd-e-mulāqāt kā lihāz
ham ne bhī koī chaah na kī ham bhī chup rahe
dekhā kiye hamārī taraf bazm-e-ġhair meñ
tajdīd-e-rasm-o-rāh na kī ham bhī chup rahe
thā zindagī se baḌh ke hameñ vaz.a kā ḳhayāl
jab umr ne nibāh na kī ham bhī chup rahe
ḳhāmosh ho ga.iiñ jo umañgeñ shabāb kī
phir jur.at-e-gunāh na kī ham bhī chup rahe
maġhrūr thā kamāl-e-suḳhan par bahut 'hafīz'
ham ne bhī vāh-vāh na kī ham bhī chup rahe
us shoKH ne nigah na ki hum bhi chup rahe
hum ne bhi aah aah na ki hum bhi chup rahe
aaya na un ko ahd-e-mulaqat ka lihaz
hum ne bhi koi chah na ki hum bhi chup rahe
dekha kiye hamari taraf bazm-e-ghair mein
tajdid-e-rasm-o-rah na ki hum bhi chup rahe
tha zindagi se baDh ke hamein waza ka KHayal
jab umr ne nibah na ki hum bhi chup rahe
KHamosh ho gain jo umangen shabab ki
phir jurat-e-gunah na ki hum bhi chup rahe
maghrur tha kamal-e-suKHan par bahut 'hafiz'
hum ne bhi wah-wah na ki hum bhi chup rahe
- Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 405)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.