usne aahista se jab pukara mujhe
us ne āhista se jab pukārā mujhe
jhuk ke takne lagā har sitārā mujhe
terā ġham is fishār-e-shab-o-roz meñ
hone detā nahīñ be-sahārā mujhe
har sitāre kī bujhtī huī raushnī
mere hone kā hai isti.ārā mujhe
ai ḳhudā koī aisā bhī hai mo'jiza
jo ki mujh par kare āshkārā mujhe
koī sūraj nahīñ koī taarā nahīñ
tū ne kis jhuTpuTe meñ utārā mujhe
aks-e-imroz meñ naqsh-e-dīroz meñ
ik ishārā tujhe ik ishārā mujhe
haiñ azal tā abad TūTte aa.ine
āgahī ne kahāñ lā ke maarā mujhe
us ne aahista se jab pukara mujhe
jhuk ke takne laga har sitara mujhe
tera gham is fishaar-e-shab-o-roz mein
hone deta nahin be-sahaara mujhe
har sitare ki bujhti hui raushni
mere hone ka hai istiara mujhe
ai KHuda koi aisa bhi hai mo'jiza
jo ki mujh par kare aashkara mujhe
koi suraj nahin koi tara nahin
tu ne kis jhuTpuTe mein utara mujhe
aks-e-imroz mein naqsh-e-diroz mein
ek ishaara tujhe ek ishaara mujhe
hain azal ta abad TuTte aaine
aagahi ne kahan la ke mara mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.