usko mere afsane mein kya jaane kya baat mili
us ko mere afsāne meñ kyā jaane kyā baat milī
chāñd se ruḳh par ġham ke bādal āñkhoñ meñ barsāt milī
bas itnī sī baat thī us kī zulf zarā lahrā.ī thī
ḳhauf-zada har shaam kā manzar sahmī sī har raat milī
daulat aur shohrat logoñ ne qismat se aage paa.ī
aur musībat bhī ham ko to bas hasab-e-auqāt milī
vo jis ko kuchh fikr nahīñ hai har ġham se anjān hai jo
pag-pag us kī rāhguzar meñ ashkoñ kī bārāt milī
sab ummīdeñ TuuT chukī thiiñ dil thā mahv-e-yās 'aqīl'
aur dāman thā purze purze jab ham ko ḳhairāt milī
us ko mere afsane mein kya jaane kya baat mili
chand se ruKH par gham ke baadal aankhon mein barsat mili
bas itni si baat thi us ki zulf zara lahrai thi
KHauf-zada har sham ka manzar sahmi si har raat mili
daulat aur shohrat logon ne qismat se aage pai
aur musibat bhi hum ko to bas hasab-e-auqat mili
wo jis ko kuchh fikr nahin hai har gham se anjaan hai jo
pag-pag us ki rahguzar mein ashkon ki baraat mili
sab ummiden TuT chuki thin dil tha mahw-e-yas 'aqil'
aur daman tha purze purze jab hum ko KHairaat mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.