usko hai ishq batana bhi nahin chahta hai
us ko hai ishq batānā bhī nahīñ chāhtā hai
aur ye baat chhupānā bhī nahīñ chāhtā hai
sochtā rahtā hai din-bhar ki mirī raat meñ aa.e
apne din ko ye jatānā bhī nahīñ chāhtā hai
shā.irī ko mirā iz.hār samajhtā hai magar
parda-e-sher uThānā bhī nahīñ chāhtā hai
saa.e ko justujū-e-jism bahut hai phir bhī
pahlū-e-jism meñ aanā bhī nahīñ chāhtā hai
aisā lagtā hai ki vo pā bhī chukā hai mujh ko
jo ba-zāhir mujhe paanā bhī nahīñ chāhtā hai
farhat-ehsās ko hai saarī haqīqat ma.alūm
mahfil-e-vahm se jaanā bhī nahīñ chāhtā hai
us ko hai ishq batana bhi nahin chahta hai
aur ye baat chhupana bhi nahin chahta hai
sochta rahta hai din-bhar ki meri raat mein aae
apne din ko ye jatana bhi nahin chahta hai
shairi ko mera izhaar samajhta hai magar
parda-e-sher uThana bhi nahin chahta hai
sae ko justuju-e-jism bahut hai phir bhi
pahlu-e-jism mein aana bhi nahin chahta hai
aisa lagta hai ki wo pa bhi chuka hai mujh ko
jo ba-zahir mujhe pana bhi nahin chahta hai
farhat-ehsas ko hai sari haqiqat malum
mahfil-e-wahm se jaana bhi nahin chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.