uski aankhon mein thi gahrai bahut
us kī āñkhoñ meñ thī gahrā.ī bahut
kyuuñ satātī hai ye tanhā.ī bahut
hijr kī sauġhāt kyā laa.ī bahut
be-tahāsha yaad bhī aa.ī bahut
pech-o-ḳham zulfoñ kā saarā khul gayā
raat bhar āñkhoñ meñ lahrā.ī bahut
kyuuñ chamak uThtī hai bijlī baar baar
ai sitamgar le na añgḌā.ī bahut
ghar se 'sāhil' aa ke lauTī dhuup kyā
ho ga.ī merī to rusvā.ī bahut
us ki aankhon mein thi gahrai bahut
kyun satati hai ye tanhai bahut
hijr ki saughat kya lai bahut
be-tahasha yaad bhi aai bahut
pech-o-KHam zulfon ka sara khul gaya
raat bhar aankhon mein lahrai bahut
kyun chamak uThti hai bijli bar bar
ai sitamgar le na angDai bahut
ghar se 'sahil' aa ke lauTi dhup kya
ho gai meri to ruswai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.