insan mein haiwan yahan bhi hai wahan bhi
Interesting Fact
This ghazal is written on similar kinds of social issues prevailing both in India and Pakistan.
insān meñ haivān yahāñ bhī hai vahāñ bhī
allāh nigahbān yahāñ bhī hai vahāñ bhī
ḳhūñ-ḳhvār darindoñ ke faqat naam alag haiñ
har shahr bayābān yahāñ bhī hai vahāñ bhī
hindū bhī sukūñ se hai musalmāñ bhī sukūñ se
insān pareshān yahāñ bhī hai vahāñ bhī
rahmān kī rahmat ho ki bhagvān kī mūrat
har khel kā maidān yahāñ bhī hai vahāñ bhī
uThtā hai dil-o-jāñ se dhuāñ donoñ taraf hī
ye 'mīr' kā dīvān yahāñ bhī hai vahāñ bhī
insan mein haiwan yahan bhi hai wahan bhi
allah nigahban yahan bhi hai wahan bhi
KHun-KHwar darindon ke faqat nam alag hain
har shahr bayaban yahan bhi hai wahan bhi
hindu bhi sukun se hai musalman bhi sukun se
insan pareshan yahan bhi hai wahan bhi
rahman ki rahmat ho ki bhagwan ki murat
har khel ka maidan yahan bhi hai wahan bhi
uThta hai dil-o-jaan se dhuan donon taraf hi
ye 'mir' ka diwan yahan bhi hai wahan bhi
- Book : Sheher Men Gaon (Pg. 380)
- Author : Nida Fazli
- Publication : Miaar Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.