un se ummid-e-ru-numai hai
un se ummīd-e-rū-numā.ī hai
kyā nigāhoñ kī maut aa.ī hai
husn masrūf-e-ḳhud-numā.ī hai
ishq kā daur ibtidā.ī hai
dil ne ġham se shikast khaa.ī hai
umr-e-rafta tirī duhā.ī hai
dil kī barbādiyoñ pe nāzāñ huuñ
fat.h pā kar shikast khaa.ī hai
mere ma.abad nahīñ haiñ dair-o-haram
ehtiyātan jabīñ jhukā.ī hai
vo havā de rahe haiñ dāman kī
haa.e kis vaqt niiñd aa.ī hai
khul gayā un kī aarzū meñ ye raaz
ziist apnī nahīñ parā.ī hai
sham.a parvāna hoñ ki ġhuncha-o-gul
zindagī kis ko raas aa.ī hai
gul fasurda chaman udaas 'shakīl'
yuuñ bhī aksar bahār aa.ī hai
un se ummid-e-ru-numai hai
kya nigahon ki maut aai hai
husn masruf-e-KHud-numai hai
ishq ka daur ibtidai hai
dil ne gham se shikast khai hai
umr-e-rafta teri duhai hai
dil ki barbaadiyon pe nazan hun
fath pa kar shikast khai hai
mere mabad nahin hain dair-o-haram
ehtiyatan jabin jhukai hai
wo hawa de rahe hain daman ki
hae kis waqt nind aai hai
khul gaya un ki aarzu mein ye raaz
zist apni nahin parai hai
shama parwana hon ki ghuncha-o-gul
zindagi kis ko ras aai hai
gul fasurda chaman udas 'shakil'
yun bhi aksar bahaar aai hai
- Shabistan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.