tufan ki ummid thi aandhi nahin aai
tūfān kī ummīd thī āñdhī nahīñ aa.ī
vo aap to kyā us kī ḳhabar bhī nahīñ aa.ī
kuchh āñkhoñ meñ to ho gayā ābād vo chehra
kuchh bastiyoñ meñ aaj bhī bijlī nahīñ aa.ī
har roz palaT aate the mehmān kisī ke
har roz ye kahte the ki gaaḌī nahīñ aa.ī
vo aag bujhī to hameñ mausam ne jhiñjhoḌā
varna yahī lagtā thā ki sardī nahīñ aa.ī
shāyad vo mohabbat ke liye Thiik nahīñ thā
shāyad ye añgūThī use puurī nahīñ aa.ī
tufan ki ummid thi aandhi nahin aai
wo aap to kya us ki KHabar bhi nahin aai
kuchh aankhon mein to ho gaya aabaad wo chehra
kuchh bastiyon mein aaj bhi bijli nahin aai
har roz palaT aate the mehman kisi ke
har roz ye kahte the ki gaDi nahin aai
wo aag bujhi to hamein mausam ne jhinjhoDa
warna yahi lagta tha ki sardi nahin aai
shayad wo mohabbat ke liye Thik nahin tha
shayad ye anguThi use puri nahin aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.