tumhein pane ki haisiyyat nahin hai
tumheñ paane kī haisiyyat nahīñ hai
magar khone kī bhī himmat nahīñ hai
bahut sochā bahut sochā hai maiñ ne
judā.ī ke sivā sūrat nahīñ hai
tumheñ rokā to jā saktā hai lekin
mire a.asāb meñ quvvat nahīñ hai
mire ashko mire be-kār ashko!!
tumhārī ab use hājat nahīñ hai
abhī tum ghar se bāhar mat nikalnā
tumhārī hosh kī hālat nahīñ hai
duā kyā duuñ bhalā jaate hue maiñ
tumheñ takne se hī fursat nahīñ hai
mohabbat kam na hogī yaad rakhnā!!
ye baḌhtī hai, ki ye daulat nahīñ hai
zamāne ab tire madd-e-muqābil
koī kamzor sī aurat nahīñ hai
tumhein pane ki haisiyyat nahin hai
magar khone ki bhi himmat nahin hai
bahut socha bahut socha hai main ne
judai ke siwa surat nahin hai
tumhein roka to ja sakta hai lekin
mere aasab mein quwwat nahin hai
mere ashko mere be-kar ashko!!
tumhaari ab use hajat nahin hai
abhi tum ghar se bahar mat nikalna
tumhaari hosh ki haalat nahin hai
dua kya dun bhala jate hue main
tumhein takne se hi fursat nahin hai
mohabbat kam na hogi yaad rakhna!!
ye baDhti hai, ki ye daulat nahin hai
zamane ab tere madd-e-muqabil
koi kamzor si aurat nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.