tumhein jab kabhi milen fursaten mere dil se bojh utar do
tumheñ jab kabhī mileñ fursateñ mire dil se bojh utaar do
maiñ bahut dinoñ se udaas huuñ mujhe koī shaam udhār do
mujhe apne ruup kī dhuup do ki chamak sakeñ mire ḳhāl-o-ḳhad
mujhe apne rañg meñ rañg do mire saare rañg utaar do
kisī aur ko mire haal se na ġharaz hai koī na vāsta
maiñ bikhar gayā huuñ sameT lo maiñ bigaḌ gayā huuñ sañvār do
tumhein jab kabhi milen fursaten mere dil se bojh utar do
main bahut dinon se udas hun mujhe koi sham udhaar do
mujhe apne rup ki dhup do ki chamak saken mere KHal-o-KHad
mujhe apne rang mein rang do mere sare rang utar do
kisi aur ko mere haal se na gharaz hai koi na wasta
main bikhar gaya hun sameT lo main bigaD gaya hun sanwar do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.