tum meri aankh ke tewar na bhula paoge
tum mirī aañkh ke tevar na bhulā pāoge
an-kahī baat ko samjhoge to yaad ā.ūñgā
ham ne ḳhushiyoñ kī tarah dukh bhī ikaTThe dekhe
safha-e-zīst ko palToge to yaad ā.ūñgā
is judā.ī meñ tum andar se bikhar jāoge
kisī ma.azūr ko dekhoge to yaad ā.ūñgā
isī andāz meñ hote the muḳhātib mujh se
ḳhat kisī aur ko likkhoge to yaad ā.ūñgā
merī ḳhushbū tumheñ kholegī gulāboñ kī tarah
tum agar ḳhud se na bologe to yaad ā.ūñgā
aaj to mahfil-e-yārāñ pe ho maġhrūr bahut
jab kabhī TuuT ke bikhroge to yaad ā.ūñgā
tum meri aankh ke tewar na bhula paoge
an-kahi baat ko samjhoge to yaad aaunga
hum ne KHushiyon ki tarah dukh bhi ikaTThe dekhe
safha-e-zist ko palToge to yaad aaunga
is judai mein tum andar se bikhar jaoge
kisi mazur ko dekhoge to yaad aaunga
isi andaz mein hote the muKHatib mujh se
KHat kisi aur ko likkhoge to yaad aaunga
meri KHushbu tumhein kholegi gulabon ki tarah
tum agar KHud se na bologe to yaad aaunga
aaj to mahfil-e-yaran pe ho maghrur bahut
jab kabhi TuT ke bikhroge to yaad aaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.