tum jaante ho kis liye wo mujhse gaya laD
tum jānte ho kis liye vo mujh se gayā laḌ
ai hamdam-e-man us ke kahīñ aur lagī laḌ
us ne shajar-e-dostī ab dil se ukhāḌā
kahne se raqīboñ ke hai fitne kī bañdhī jaḌ
us but ko kahāñ pahuñcheñ but aazar ke tarāshe
haath apne se tayyār kare jis ko ḳhudā ghaḌ
dil-doz nigah yaar kī hotī hai muqābil
barchhī kī anī sī mire siine meñ ga.ī gaḌ
ḳhajlat se tū phir sāmne āñkheñ na karegā
ai abr mire girya kī jis vaqt lagī jhaḌ
ḳhat kā ye javāb aayā ki qāsid gayā jī se
sar ek taraf loTe hai aur ek taraf dhaḌ
rindoñ ne evaz visme ke nuurā jo lagāyā
paakī kī tarah shaiḳh kī dāḌhī bhī ga.ī jhaḌ
tirchhī nigah us kī ki huā koī na aaḌe
siine ko sipar kar ke rahe ek hamīñ aḌ
sahrā-e-junūñ se 'muhib' us zulf kī zanjīr
phir pech meñ le aa.ī mujhe paañv mire paḌ
tum jaante ho kis liye wo mujh se gaya laD
ai hamdam-e-man us ke kahin aur lagi laD
us ne shajar-e-dosti ab dil se ukhaDa
kahne se raqibon ke hai fitne ki bandhi jaD
us but ko kahan pahunchen but aazar ke tarashe
hath apne se tayyar kare jis ko KHuda ghaD
dil-doz nigah yar ki hoti hai muqabil
barchhi ki ani si mere sine mein gai gaD
KHajlat se tu phir samne aankhen na karega
ai abr mere girya ki jis waqt lagi jhaD
KHat ka ye jawab aaya ki qasid gaya ji se
sar ek taraf loTe hai aur ek taraf dhaD
rindon ne ewaz wisme ke nura jo lagaya
paki ki tarah shaiKH ki daDhi bhi gai jhaD
tirchhi nigah us ki ki hua koi na aaDe
sine ko sipar kar ke rahe ek hamin aD
sahra-e-junun se 'muhib' us zulf ki zanjir
phir pech mein le aai mujhe panw mere paD
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.