tum bhi ho KHanjar-e-KHushab bhi hai
tum bhī ho ḳhanjar-e-ḳhūshāb bhī hai
aur ye ḳhānumāñ-ḳharāb bhī hai
vo bhī haiñ sāġhar-e-sharāb bhī hai
chāñd ke paas āftāb bhī hai
bole vo bosa-hā-e-paiham par
are kam-baḳht kuchh hisāb bhī hai
pūchhte jaate haiñ ye ham sab se
majlis-e-vāz meñ sharāb bhī hai
dekh aao marīz-e-furqat ko
rasm-e-duniyā bhī hai savāb bhī hai
tum bhi ho KHanjar-e-KHushab bhi hai
aur ye KHanuman-KHarab bhi hai
wo bhi hain saghar-e-sharab bhi hai
chand ke pas aaftab bhi hai
bole wo bosa-ha-e-paiham par
are kam-baKHt kuchh hisab bhi hai
puchhte jate hain ye hum sab se
majlis-e-waz mein sharab bhi hai
dekh aao mariz-e-furqat ko
rasm-e-duniya bhi hai sawab bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.