to phir wo ishq ye naqd-o-nazar barae-faroKHt
to phir vo ishq ye naqd-o-nazar barā.e-faroḳht
suḳhan barā.e-hunar hai hunar barā.e-faroḳht
ayaañ kiyā hai tirā raaz fī-sabīlillāh
ḳhabar na thī ki hai ye bhī ḳhabar barā.e-faroḳht
maiñ qāfile se bichhaḌ kar bhalā kahāñ jā.ūñ
sajā.e baiThā huuñ zād-e-safar barā.e-faroḳht
parinde laḌ hī paḌe jā.edād par āḳhir
shajar pe likkhā huā hai shajar barā.e-faroḳht
maiñ pahle kuufa gayā is ke ba.ad misr gayā
idhar barā.e-shahādat udhar barā.e-faroḳht
zarā ye dūsrā misra.a durust farmā.eñ
mire makān pe likkhā hai ghar barā.e-faroḳht
to phir wo ishq ye naqd-o-nazar barae-faroKHt
suKHan barae-hunar hai hunar barae-faroKHt
ayan kiya hai tera raaz fi-sabilillah
KHabar na thi ki hai ye bhi KHabar barae-faroKHt
main qafile se bichhaD kar bhala kahan jaun
sajae baiTha hun zad-e-safar barae-faroKHt
parinde laD hi paDe jaedad par aaKHir
shajar pe likkha hua hai shajar barae-faroKHt
main pahle kufa gaya is ke baad misr gaya
idhar barae-shahadat udhar barae-faroKHt
zara ye dusra misra durust farmaen
mere makan pe likkha hai ghar barae-faroKHt
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.