teri jo zulf ka aaya KHayal aankhon mein
teri jo zulf ka aaya KHayal aankhon mein
Shaikh Zahuruddin Hatim
MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim
tirī jo zulf kā aayā ḳhayāl āñkhoñ meñ
vahīñ khaTakne lagā baal baal āñkhoñ meñ
tirī jo chashm ke goshe meñ til hai aisā til
nazar paḌā hai kahīñ ḳhaal ḳhaal āñkhoñ meñ
nashe meñ surḳh haiñ aisī tarah se tere chashm
goyā khilā hai kañval laal laal āñkhoñ meñ
vo ḳhush-nigah tirī 'hātim' nazar paḌā hai aaj
chhupā le us ke ta.iiñ haal haal āñkhoñ meñ
teri jo zulf ka aaya KHayal aankhon mein
wahin khaTakne laga baal baal aankhon mein
teri jo chashm ke goshe mein til hai aisa til
nazar paDa hai kahin KHal KHal aankhon mein
nashe mein surKH hain aisi tarah se tere chashm
goya khila hai kanwal lal lal aankhon mein
wo KHush-nigah teri 'hatim' nazar paDa hai aaj
chhupa le us ke tain haal haal aankhon mein
- Book : Diwan Zadah (Pg. 236)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.