tere qarib pahunchne ke Dhang aate the
tire qarīb pahuñchne ke Dhañg aate the
ye ḳhud-fareb magar raah bhuul jaate the
hameñ aziiz haiñ in bastiyoñ kī dīvāreñ
ki jin ke saa.e bhī dīvār bante jaate the
satīz-e-naqsh-e-vafā thā ta.alluq-e-yārāñ
vo zaḳhma-e-rag-e-jāñ chheḌ chheḌ jaate the
vo aur kaun tire qurb ko tarastā thā
fareb-ḳhurda hī terā fareb khāte the
chhupā ke rakh diyā phir āgahī ke shīshe ko
is ā.īne meñ to chehre bigaḌte jaate the
ab ek umar se dukh bhī koī nahīñ detā
vo log kyā the jo āThoñ pahar rulāte the
vo log kyā hue jo ūñghtī huī shab meñ
dar-e-firāq kī zanjīr sī hilāte the
tere qarib pahunchne ke Dhang aate the
ye KHud-fareb magar rah bhul jate the
hamein aziz hain in bastiyon ki diwaren
ki jin ke sae bhi diwar bante jate the
satiz-e-naqsh-e-wafa tha talluq-e-yaran
wo zaKHma-e-rag-e-jaan chheD chheD jate the
wo aur kaun tere qurb ko tarasta tha
fareb-KHurda hi tera fareb khate the
chhupa ke rakh diya phir aagahi ke shishe ko
is aaine mein to chehre bigaDte jate the
ab ek umar se dukh bhi koi nahin deta
wo log kya the jo aaThon pahar rulate the
wo log kya hue jo unghti hui shab mein
dar-e-firaq ki zanjir si hilate the
- Book : kulliyat dusht-e-qais main laila (Pg. 88)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.