tera dhyan aata raha der tak
tirā dhyān aatā rahā der tak
maiñ ḳhud ko bhī achchhā lagā der tak
har ik baat se lā-ta.alluq rahā
sunī maiñ ne apnī sadā der tak
musāfir tirā zikr karte rahe
mahaktā rahā rāsta der tak
vahī saarī bāteñ vahī sab ḳhayāl
chalā raat bhī silsila der tak
navāze ga.e kuchh bhale aadmī
sabhā meñ tamāshā huā der tak
tavajjoh ke tālib the manzar sabhī
vahāñ kaun ruktā bhalā der tak
tera dhyan aata raha der tak
main KHud ko bhi achchha laga der tak
har ek baat se la-talluq raha
suni main ne apni sada der tak
musafir tera zikr karte rahe
mahakta raha rasta der tak
wahi sari baaten wahi sab KHayal
chala raat bhi silsila der tak
nawaze gae kuchh bhale aadmi
sabha mein tamasha hua der tak
tawajjoh ke talib the manzar sabhi
wahan kaun rukta bhala der tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.