tisri aankh khulegi to dikhai dega
tīsrī aañkh khulegī to dikhā.ī degā
aur kai din mirā ham-zād judā.ī degā
vo na aa.egā magar dil ye kahe jaatā hai
us ke aane kā abhī shor sunā.ī degā
dil kā ā.īna huā jaatā hai dhuñdlā dhuñdlā
kab tirā 'aks ise apnī safā.ī degā
ḳhush thā maiñ chehre pe āñkhoñ ko sajā kar lekin
kyā ḳhabar thī mujhe kuchh bhī na sujhā.ī degā
apne hī ḳhuun meñ ālūda kiye baiThā huuñ
kaun is haath meñ ab dast-e-hinā.ī degā
maut bhī duur bahut duur kahīñ phirtī hai
kaun ab aa ke asīroñ ko rihā.ī degā
bechne niklā huuñ 'alvī' mirā dīvān magar
jāntā huuñ maiñ koī paisa na paa.ī degā
tisri aankh khulegi to dikhai dega
aur kai din mera ham-zad judai dega
wo na aaega magar dil ye kahe jata hai
us ke aane ka abhi shor sunai dega
dil ka aaina hua jata hai dhundla dhundla
kab tera 'aks ise apni safai dega
KHush tha main chehre pe aankhon ko saja kar lekin
kya KHabar thi mujhe kuchh bhi na sujhai dega
apne hi KHun mein aaluda kiye baiTha hun
kaun is hath mein ab dast-e-hinai dega
maut bhi dur bahut dur kahin phirti hai
kaun ab aa ke asiron ko rihai dega
bechne nikla hun 'alwi' mera diwan magar
jaanta hun main koi paisa na pai dega
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 71)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.