thoDi si dur teri sada le gai hamein
thoḌī sī duur terī sadā le ga.ī hameñ
phir ik havā-e-tund uḌā le ga.ī hameñ
naddī kināre kyā ga.e paanī kī chaah meñ
naddī samundaroñ meñ bahā le ga.ī hameñ
qismat meñ tishnagī se hī marnā likhā thā phir
kyuuñ sāhiloñ pe garm havā le ga.ī hameñ
nashsha thā zindagī kā sharāboñ se tez-tar
ham gir paḌe to maut uThā le ga.ī hameñ
ham sāda-dil the aa ga.e āḳhir fareb meñ
bātoñ meñ us kī aañkh lagā le ga.ī hameñ
thoDi si dur teri sada le gai hamein
phir ek hawa-e-tund uDa le gai hamein
naddi kinare kya gae pani ki chah mein
naddi samundaron mein baha le gai hamein
qismat mein tishnagi se hi marna likha tha phir
kyun sahilon pe garm hawa le gai hamein
nashsha tha zindagi ka sharabon se tez-tar
hum gir paDe to maut uTha le gai hamein
hum sada-dil the aa gae aaKHir fareb mein
baaton mein us ki aankh laga le gai hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.