thoDi sardi zara sa nazla hai
thoḌī sardī zarā sā nazla hai
shā.erī kā mizāj patlā hai
sunñe vāloñ kā kuchh qusūr nahīñ
nayā shā.er bechārā haklā hai
dekhiye to sabhī barābar hai
sochiye to ajiib ghaplā hai
pyaar karte bhī haiñ nahīñ bhī haiñ
dil isī baat par to machlā hai
ab yahāñ koī bhī nahīñ aatā
dostoñ ne Thikānā badlā hai
aao 'alvī' maze karā laa.eñ
yaar is shahr meñ bhī chakla hai
thoDi sardi zara sa nazla hai
shaeri ka mizaj patla hai
sunne walon ka kuchh qusur nahin
naya shaer bechaara hakla hai
dekhiye to sabhi barabar hai
sochiye to ajib ghapla hai
pyar karte bhi hain nahin bhi hain
dil isi baat par to machla hai
ab yahan koi bhi nahin aata
doston ne Thikana badla hai
aao 'alwi' maze kara laen
yar is shahr mein bhi chakla hai
- Book : Raat Idhar Udhar Rooshan (Pg. 308)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.