Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

thoDa sa aks chand ke paikar mein Dal de

Kaif Bhopali

thoDa sa aks chand ke paikar mein Dal de

Kaif Bhopali

MORE BYKaif Bhopali

    thoḌā aks chāñd ke paikar meñ Daal de

    aa ke jaan raat ke manzar meñ Daal de

    jis din mirī jabīñ kisī dahlīz par jhuke

    us din ḳhudā shigāf mire sar meñ Daal de

    allāh tere saath hai mallāh ko na dekh

    ye TuuTī phūTī naav samundar meñ Daal de

    aa tere maal o zar ko maiñ taqdīs baḳhsh duuñ

    apnā maal o zar mirī Thokar meñ Daal de

    bhaag aise rahnumā se jo lagtā hai ḳhizr

    jaane ye kis jagah tujhe chakkar meñ Daal de

    is se tire makān manzar hai bad-numā

    chingārī mere phuus ke chhappar meñ Daal de

    maiñ ne panāh tujhe bārish raat meñ

    jaate jaate aag mire ghar meñ Daal de

    ai 'kaif' jāgte tujhe pichhlā pahar huā

    ab laash jaise jism ko bistar meñ Daal de

    thoDa sa aks chand ke paikar mein Dal de

    tu aa ke jaan raat ke manzar mein Dal de

    jis din meri jabin kisi dahliz par jhuke

    us din KHuda shigaf mere sar mein Dal de

    allah tere sath hai mallah ko na dekh

    ye TuTi phuTi naw samundar mein Dal de

    aa tere mal o zar ko main taqdis baKHsh dun

    la apna mal o zar meri Thokar mein Dal de

    bhag aise rahnuma se jo lagta hai KHizr sa

    jaane ye kis jagah tujhe chakkar mein Dal de

    is se tere makan ka manzar hai bad-numa

    chingari mere phus ke chhappar mein Dal de

    main ne panah di tujhe barish ki raat mein

    tu jate jate aag mere ghar mein Dal de

    ai 'kaif' jagte tujhe pichhla pahar hua

    ab lash jaise jism ko bistar mein Dal de

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    thoDa sa aks chand ke paikar mein Dal de Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now