tha mujhse ham-kalam magar dekhne mein tha
thā mujh se ham-kalām magar dekhne meñ thā
jaane vo kis ḳhayāl meñ thā kis samay meñ thā
kaise makāñ ujaaḌ huā kis se pūchhte
chūlhe meñ raushnī thī na paanī ghaḌe meñ thā
tā-sub.h barg-o-shāḳh-o-shajar jhūmte rahe
kal shab balā kā soz havā ke gale meñ thā
nīñdoñ meñ phir rahā huuñ use DhūñDhtā huā
shāmil jo ek ḳhvāb mire rat-jage meñ thā
tha mujh se ham-kalam magar dekhne mein tha
jaane wo kis KHayal mein tha kis samay mein tha
kaise makan ujaD hua kis se puchhte
chulhe mein raushni thi na pani ghaDe mein tha
ta-subh barg-o-shaKH-o-shajar jhumte rahe
kal shab bala ka soz hawa ke gale mein tha
nindon mein phir raha hun use DhunDhta hua
shamil jo ek KHwab mere rat-jage mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.