tha bahana mujhe zanjir ke hil jaane ka
thā bahāna mujhe zanjīr ke hil jaane kā
chhoḌ dev ab to havā shauq nikal jaane kā
sang-dil ne dil-e-nāzuk kuuñ mire chuur kiyā
kyā irāda thā use shīsha-mahal jaane kā
mat karo sham' kuuñ badnām jalātī vo nahīñ
aap siiñ shauq patañgoñ kuuñ hai jal jaane kā
āfrīñ dil kuuñ mire ḳhuub bajā kaam aayā
sach sipāhī ko baḌā nañg hai Tal jaane kā
sho.ala-rū jām-ba-kaf bazm meñ aatā hai 'sirāj'
gardan-e-sham.a kuuñ kyā baak hai Dhal jaane kā
tha bahana mujhe zanjir ke hil jaane ka
chhoD dew ab to hawa shauq nikal jaane ka
sang-dil ne dil-e-nazuk kun mere chur kiya
kya irada tha use shisha-mahal jaane ka
mat karo sham' kun badnam jalati wo nahin
aap sin shauq patangon kun hai jal jaane ka
aafrin dil kun mere KHub baja kaam aaya
sach sipahi ko baDa nang hai Tal jaane ka
shoala-ru jam-ba-kaf bazm mein aata hai 'siraj'
gardan-e-shama kun kya bak hai Dhal jaane ka
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 293)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.