teri sohbat mein baiTha hun
terī sohbat meñ baiThā huuñ
goyā jannat meñ baiThā huuñ
dīvār-e-zindāñ ke pīchhe
jurm-e-mohabbat meñ baiThā huuñ
ek āvāz pe aa jā.ūñgā
jaisī hālat meñ baiThā huuñ
aa jaao do bāteñ kar leñ
qadre fursat meñ baiThā huuñ
baiThā huuñ tasvīr ke aage
aur haqīqat meñ baiThā huuñ
ek jhalak dekhī thī us kī
ab tak hairat meñ baiThā huuñ
dekh 'shu.ūr' us but ke aage
kaise ibādat meñ baiThā huuñ
teri sohbat mein baiTha hun
goya jannat mein baiTha hun
diwar-e-zindan ke pichhe
jurm-e-mohabbat mein baiTha hun
ek aawaz pe aa jaunga
jaisi haalat mein baiTha hun
aa jao do baaten kar len
qadre fursat mein baiTha hun
baiTha hun taswir ke aage
aur haqiqat mein baiTha hun
ek jhalak dekhi thi us ki
ab tak hairat mein baiTha hun
dekh 'shuur' us but ke aage
kaise ibaadat mein baiTha hun
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 69)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.