teri maKHmur chashm ai mai-nosh
terī maḳhmūr chashm ai mai-nosh
jin ne dekhī so ho gayā ḳhāmosh
ka.ī fāqoñ meñ iid aa.ī hai
aaj tū ho to jaan ham-āġhosh
apne ta.iiñ sar pe haath jo na rakhe
us ke sar pe na māriye pā-posh
ishq meñ maiñ tire huā majnūñ
kis ko hai aql aur kahāñ hai hosh
pālkī bhī mujhe ḳhudā ne dī
tū bhī 'tābāñ' rahā maiñ ḳhāna-ba-dosh
teri maKHmur chashm ai mai-nosh
jin ne dekhi so ho gaya KHamosh
kai faqon mein id aai hai
aaj tu ho to jaan ham-aghosh
apne tain sar pe hath jo na rakhe
us ke sar pe na mariye pa-posh
ishq mein main tere hua majnun
kis ko hai aql aur kahan hai hosh
palki bhi mujhe KHuda ne di
tu bhi 'taban' raha main KHana-ba-dosh
- Deewan-e-Taban Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.