teri aankhen baDi si pyari hain
terī āñkheñ baḌī sī pyārī haiñ
un ke phir dekhne kī vaarī haiñ
gāliyāñ tiiñ jo de gayā thā mujhe
mujh ko ab tak vo yādgārī haiñ
ātish-e-ishq meñ jo jal na mareñ
ishq ke fan meñ vo anārī haiñ
raat jaagā hai pī sharāb kahīñ
terī āñkheñ nipaT ḳhumārī haiñ
tum se kahtā hai jaan sach 'tābāñ'
jhūTī bāteñ sabhī tumhārī haiñ
teri aankhen baDi si pyari hain
un ke phir dekhne ki wari hain
galiyan tin jo de gaya tha mujhe
mujh ko ab tak wo yaadgari hain
aatish-e-ishq mein jo jal na maren
ishq ke fan mein wo anari hain
raat jaga hai pi sharab kahin
teri aankhen nipaT KHumari hain
tum se kahta hai jaan sach 'taban'
jhuTi baaten sabhi tumhaari hain
- Deewan-e-Taban Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.