tere ghar KHwab mein gaya tha ghair
tere ghar ḳhvāb meñ gayā thā ġhair
apnī āñkhoñ se ham ne dekhā hai
kis qadar hai mizāj meñ garmī
sho.ala hai aag hai bhabhūkā hai
ai buto ka.abe kā karo kuchh paas
dil na toḌo ye ghar ḳhudā kā hai
chup raho kyuuñ mizāj pūchhte ho
ham ji.eñ yā mareñ tumheñ kyā hai
us gul-e-tar ke aane se 'jauhar'
ḳhāna-e-dil tamām mahkā hai
tere ghar KHwab mein gaya tha ghair
apni aankhon se hum ne dekha hai
kis qadar hai mizaj mein garmi
shoala hai aag hai bhabhuka hai
ai buto kabe ka karo kuchh pas
dil na toDo ye ghar KHuda ka hai
chup raho kyun mizaj puchhte ho
hum jien ya maren tumhein kya hai
us gul-e-tar ke aane se 'jauhar'
KHana-e-dil tamam mahka hai
- Book : Intekhab Kalam Lala M.R Jauhar (Pg. 61)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.