tere aane ka intizar raha
Interesting Fact
Matla of this ghazal and the title of Rasa Chughtai's poetry collection are identical
tere aane kā intizār rahā
umr bhar mausam-e-bahār rahā
pā-ba-zanjīr zulf-e-yār rahī
dil asīr-e-ḳhayāl-e-yār rahā
saath apne ġhamoñ kī dhuup rahī
saath ik sarv-e-sāya-dār rahā
maiñ pareshān-hāl āshufta
sūrat-e-rañg-e-rozgār rahā
aa.ina aa.ina rahā phir bhī
laakh dar-parda-e-ġhubār rahā
kab havā.eñ tah-e-kamand aa.iiñ
kab nigāhoñ pe iḳhtiyār rahā
tujh se milne ko be-qarār thā dil
tujh se mil kar bhī be-qarār rahā
tere aane ka intizar raha
umr bhar mausam-e-bahaar raha
pa-ba-zanjir zulf-e-yar rahi
dil asir-e-KHayal-e-yar raha
sath apne ghamon ki dhup rahi
sath ek sarw-e-saya-dar raha
main pareshan-haal aashufta
surat-e-rang-e-rozgar raha
aaina aaina raha phir bhi
lakh dar-parda-e-ghubar raha
kab hawaen tah-e-kamand aain
kab nigahon pe iKHtiyar raha
tujh se milne ko be-qarar tha dil
tujh se mil kar bhi be-qarar raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.