tera chehra subh ka tara lagta hai
terā chehra sub.h kā taarā lagtā hai
sub.h kā taarā kitnā pyārā lagtā hai
tum se mil kar imlī mīThī lagtī hai
tum se bichhaḌ kar shahad bhī khārā lagtā hai
raat hamāre saath tū jaagā kartā hai
chāñd batā tū kaun hamārā lagtā hai
kis ko ḳhabar ye kitnī qayāmat Dhātā hai
ye laḌkā jo itnā bechāra lagtā hai
titlī chaman meñ phuul se lipTī rahtī hai
phir bhī chaman meñ phuul kañvārā lagtā hai
'kaif' vo kal kā 'kaif' kahāñ hai aaj miyāñ
ye to koī vaqt kā maarā lagtā hai
tera chehra subh ka tara lagta hai
subh ka tara kitna pyara lagta hai
tum se mil kar imli miThi lagti hai
tum se bichhaD kar shahad bhi khaara lagta hai
raat hamare sath tu jaga karta hai
chand bata tu kaun hamara lagta hai
kis ko KHabar ye kitni qayamat Dhata hai
ye laDka jo itna bechaara lagta hai
titli chaman mein phul se lipTi rahti hai
phir bhi chaman mein phul kanwara lagta hai
'kaif' wo kal ka 'kaif' kahan hai aaj miyan
ye to koi waqt ka mara lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.