sang-e-be-qimat tarasha aur jauhar kar diya
sang-e-be-qīmat tarāshā aur jauhar kar diyā
sham-e-ilm-o-āgahī se dil munavvar kar dayā
fikr-o-fan tahzīb-o-hikmat dī shu.ūr-o-āgahī
gum-shudān-e-rāh ko goyā ki rahbar kar dayā
chashm-e-faiz aur dast vo pāras-sifat jab chhū ga.e
mujh ko miTTī se uThāyā aur falak par kar diyā
de jazā allāh tū is bāġhbān-e-ilm ko
jis ne ġhunchoñ ko khilāyā aur gul-e-tar kar diyā
ḳhāka-e-tasvīr thā maiñ ḳhālī-az-rañg-e-hayāt
yuuñ sajāyā aap ne mujh ko ki 'qaisar' kar diyā
sang-e-be-qimat tarasha aur jauhar kar diya
sham-e-ilm-o-agahi se dil munawwar kar daya
fikr-o-fan tahzib-o-hikmat di shuur-o-agahi
gum-shudan-e-rah ko goya ki rahbar kar daya
chashm-e-faiz aur dast wo paras-sifat jab chhu gae
mujh ko miTTi se uThaya aur falak par kar diya
de jaza allah tu is baghban-e-ilm ko
jis ne ghunchon ko khilaya aur gul-e-tar kar diya
KHaka-e-taswir tha main KHali-az-rang-e-hayat
yun sajaya aap ne mujh ko ki 'qaisar' kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.