taswir teri yun hi rahe kash jeb mein
tasvīr terī yuuñ hī rahe kaash jeb meñ
goyā ki husn-e-vādī-e-kailāsh jeb meñ
raste meñ mujh ko mil gayā yuuñ hī girā-paḌā
maiñ ne uThā ke rakh liyā ākāsh jeb meñ
pañdrah minute se DhūñD rahā hai na jaane kyā
Daale hue hai haath ko qallāsh jeb meñ
aa jā ki yaar paan ke khokhe pe jam.a haiñ
cigarette chhupā ke haath meñ aur taash jeb
sab tent aur kursiyoñ vaale kamā ga.e
shā.ir ne Thūñs kar bharī shābāsh jeb meñ
ab us ġharīb chor ko bhejoge jail kyuuñ
ġhurbat kī jis ne kaaT lī pādāsh jeb meñ
rakhtā nahīñ huuñ paas meñ apnī kabhī shanāḳht
phirtā hai kaun le ke kabhī laash jeb meñ
taswir teri yun hi rahe kash jeb mein
goya ki husn-e-wadi-e-kailash jeb mein
raste mein mujh ko mil gaya yun hi gira-paDa
main ne uTha ke rakh liya aakash jeb mein
pandrah minute se DhunD raha hai na jaane kya
Dale hue hai hath ko qallash jeb mein
aa ja ki yar pan ke khokhe pe jama hain
cigarette chhupa ke hath mein aur tash jeb
sab tent aur kursiyon wale kama gae
shair ne Thuns kar bhari shabash jeb mein
ab us gharib chor ko bhejoge jail kyun
ghurbat ki jis ne kaT li padash jeb mein
rakhta nahin hun pas mein apni kabhi shanaKHt
phirta hai kaun le ke kabhi lash jeb mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.