taswir-e-ru-e-yar dikhana basant ka
taswir-e-ru-e-yar dikhana basant ka
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
MORE BYJitendra Mohan Sinha Rahbar
tasvīr-e-rū-e-yār dikhānā basant kā
aTkheliyoñ se dil ko lubhānā basant kā
har samt sabza-zār bichhānā basant kā
phūloñ meñ rañg-o-bū ko luTānā basant kā
rashk-e-jināñ chaman ko banānā basant kā
har har kalī meñ rañg dikhānā basant kā
paiġhām-e-lutf-e-ḳhās sunānā basant kā
dariyā-e-faiz-e-ām bahānā basant kā
qudrat kī barkateñ haiñ ḳhazāna basant kā
kyā ḳhuub kyā ajiib zamāna basant kā
dil ko bahut aziiz hai aanā basant kā
'rahbar' kī zindagī meñ samānā basant kā
taswir-e-ru-e-yar dikhana basant ka
aTkheliyon se dil ko lubhana basant ka
har samt sabza-zar bichhana basant ka
phulon mein rang-o-bu ko luTana basant ka
rashk-e-jinan chaman ko banana basant ka
har har kali mein rang dikhana basant ka
paigham-e-lutf-e-KHas sunana basant ka
dariya-e-faiz-e-am bahana basant ka
qudrat ki barkaten hain KHazana basant ka
kya KHub kya ajib zamana basant ka
dil ko bahut aziz hai aana basant ka
'rahbar' ki zindagi mein samana basant ka
- Book : Payaam-e-Rehber (Pg. 79)
- Author : Jitendra Mohan Sinha Rehber
- Publication : Karanti Gupta & Om Parkash Gupt C-1205, Rajaji Puram, Lucknow (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.