phir to sab hamdard bahut afsos ke sath ye kahte the
phir to sab hamdard bahut afsos ke saath ye kahte the
ḳhud hī laḌe bhañvar se kyuuñ zahmat kī ham jo baiThe the
diloñ ke ilmoñ se vo ujālā thā har chehra kaalā thā
yuuñ to kisī ne apne bhed kisī ko nahīñ batā.e the
māthe jab sajdoñ se uThe to safoñ safoñ jo farishte the
sab is shahr ke the aur ham in sab ke jānñe vaale the
ahl-e-huzūr kī baat na pūchho kabhī kabhī un ke din bhī
soz-e-safā kī ik safrāvī uktāhaT meñ kaTte the
qālīnoñ par baiTh ke azmat vaale sog meñ jab ro.e
dīmak lage zamīr is izzat-e-ġham par kyā itrā.e the
jin kī jiibh ke kunDal meñ thā nīsh-e-aqrab kā paivand
likkhā hai un bad-suḳhanoñ kī qaum pe azhdar barse the
jin ke lahū se nikhar rahī haiñ ye sarsabz hameshgiyāñ
azloñ se vo sādiq jazboñ tayyab rizqoñ vaale the
phir to sab hamdard bahut afsos ke sath ye kahte the
KHud hi laDe bhanwar se kyun zahmat ki hum jo baiThe the
dilon ke ilmon se wo ujala tha har chehra kala tha
yun to kisi ne apne bhed kisi ko nahin batae the
mathe jab sajdon se uThe to safon safon jo farishte the
sab is shahr ke the aur hum in sab ke jaanne wale the
ahl-e-huzur ki baat na puchho kabhi kabhi un ke din bhi
soz-e-safa ki ek safrawi uktahaT mein kaTte the
qalinon par baiTh ke azmat wale sog mein jab roe
dimak lage zamir is izzat-e-gham par kya itrae the
jin ki jibh ke kunDal mein tha nish-e-aqrab ka paiwand
likkha hai un bad-suKHanon ki qaum pe azhdar barse the
jin ke lahu se nikhar rahi hain ye sarsabz hameshgiyan
azlon se wo sadiq jazbon tayyab rizqon wale the
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 715)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.