lazim hai apne aap ki imdad kuchh karun
lāzim hai apne aap kī imdād kuchh karūñ
siine meñ vo ḳhalā hai ki ījād kuchh karūñ
har lamha apne aap meñ paatā huuñ kuchh kamī
har lamha apne aap meñ īzād kuchh karūñ
rūkār se to apnī maiñ lagtā huuñ pā.edār
buniyād rah ga.ī pa-e-buniyād kuchh karūñ
taarī huā hai lamha-e-maujūd is tarah
kuchh bhī na yaad aa.e agar yaad kuchh karūñ
mausam kā mujh se koī taqāzā hai dam-ba-dam
be-silsila nahīñ nafas-e-bād kuchh karūñ
lazim hai apne aap ki imdad kuchh karun
sine mein wo KHala hai ki ijad kuchh karun
har lamha apne aap mein pata hun kuchh kami
har lamha apne aap mein izad kuchh karun
rukar se to apni main lagta hun paedar
buniyaad rah gai pa-e-buniyaad kuchh karun
tari hua hai lamha-e-maujud is tarah
kuchh bhi na yaad aae agar yaad kuchh karun
mausam ka mujh se koi taqaza hai dam-ba-dam
be-silsila nahin nafas-e-baad kuchh karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.