is shahr mein kahin pe hamara makan bhi ho
is shahr meñ kahīñ pe hamārā makāñ bhī ho
bāzār hai to ham pe kabhī mehrbāñ bhī ho
jāgeñ to ās-pās kinārā dikhā.ī de
dariyā ho pur-sukūn khulā bādbāñ bhī ho
ik dost aisā ho ki mirī baat baat ko
sach māntā ho aur zarā bad-gumāñ bhī ho
raste meñ ek peḌ ho tanhā khaḌā huā
aur us kī ek shāḳh pe ik āshiyāñ bhī ho
us se mile zamāna huā lekin aaj bhī
dil se duā nikaltī hai ḳhush ho jahāñ bhī ho
ham us jagah chale haiñ jahāñ ye zamīñ nahīñ
achchhā ho gar vahāñ pe nayā āsmāñ bhī ho
is shahr mein kahin pe hamara makan bhi ho
bazar hai to hum pe kabhi mehrban bhi ho
jagen to aas-pas kinara dikhai de
dariya ho pur-sukun khula baadban bhi ho
ek dost aisa ho ki meri baat baat ko
sach manta ho aur zara bad-guman bhi ho
raste mein ek peD ho tanha khaDa hua
aur us ki ek shaKH pe ek aashiyan bhi ho
us se mile zamana hua lekin aaj bhi
dil se dua nikalti hai KHush ho jahan bhi ho
hum us jagah chale hain jahan ye zamin nahin
achchha ho gar wahan pe naya aasman bhi ho
- Book : Rat Idhar Udhar Roashan (Pg. 470)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.